Total Pageviews

Saturday 9 April 2011

A Song from Kanyadaan

paraayi hoon paraayi
haan haan
paraayi hoon paraayi
meri aarzoo na kar
paraayi hoon paraayi
meri aarzoo na kar

na mil sakungi tujh ko
meri justju na kar
na mil sakungi tujh ko
meri justju na kar
paraayi hoon paraayi
meri aarzoo na kar

mere khayaal mein
khone se faayda kya hai
mere khayaal mein
khone se faayda kya hai
hasi ke parde mein
rone se faayda kya hai

udaas dil ko dubone se
faayda kya hai
udaas dil ko dubone se
faayda kya hai

jo mujh pe bojh ho
aisi tu guftgu na kar
paraayi hoon paraayi
haan haan
paraayi hoon paraayi
meri aarzoo na kar

na mil sakungi tujh ko
meri justju na kar
paraayi hoon paraayi
meri aarzoo na kar

tujhe khabar hai ke
meri baraat aayi thi
tujhe khabar hai ke
meri baraat aayi thi
har ek phool ne
shehnaai si bajaayi thi

haseen taaron ne
doli meri sajaayi thi
haseen taaron ne
doli meri sajaayi thi

kisi ki ho chuki
badnaam aabroo na kar
paraayi hoon paraayi
haan haan
paraayi hoon paraayi
meri aarzoo na kar

na mil sakungi tujh ko
meri justju na kar
paraayi hoon paraayi
meri aarzoo na kar

jo mera farz tha
maine use nibhaaya hai
jo mera farz tha
maine use nibhaaya hai
khushi samaaj ki rakhi
ye dil mitaaya hai

wafa ki raah mein
ek deep sa jalaaya hai
wafa ki raah mein
ek deep sa jalaaya hai

mere khayaal ko tu
apne rubaru na kar
paraayi hoon paraayi
haan haan
paraayi hoon paraayi
meri aarzoo na kar

na mil sakungi tujh ko
meri justju na kar
paraayi hoon paraayi
meri aarzoo na kar

This is a kind of sad song from the film Kanyadaan which was released in the year 1968. The song is in the voice of Lata Mangeshkar and is nicely picturised on Asha Parekh.

really nice song from "kanyadaan",same movie that has "likhe jo khat tujhe".

No comments:

Post a Comment